![]() |
Talab ko ajr na doon, fikar-e-rehguzar na karoon!
Talab ko ajr na doon, fikar-e-rehguzar na karoon!
Safar main ab ke hawa ko bhi hamsafar na karoon Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon Ab is se barh ke bhala kya ho ehtiyat-e-wafa Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon! Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq In ansu’on ki wazahat main umr bhar na kroon! Ujaar shab ki khalish ban ke bann main kho jaoon Main chandni ki tarha khud ko derbader na karoon! Wo aik pal ko dikhai to de kaheen Mohsin Main ja'n gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon |
Re: Talab ko ajr na doon, fikar-e-rehguzar na karoon!
Buht KhuB
|
Re: Talab ko ajr na doon, fikar-e-rehguzar na karoon!
thanks
|
Re: Talab ko ajr na doon, fikar-e-rehguzar na karoon!
WoOoow
Nice ...!! |
All times are GMT +5. The time now is 09:22 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.