![]() |
Raah-e-haq
Raah-e-haq kay musaafir par doran-e-safar tangi bhi ati hay aur kushaadgi bhi Tangi main Mard-e-haq sabar ka sahara leta hay aur kushaadgi main shukar ka. Yeh safar dariya ki tarah hay jo paharon main sey simat kar guzarta hay. Aur maidaano main phail kar kinaron ko sairaab karta hua akhir kaar apni manzil-e-maqsood yeani Behr-e-bey paayaan sey mil jata hay. Dariya bey dam ho kar toot-ta nahee aur na hii raastey sey wapis loat-ta hay Mardan-e-haq raah ki dushwaari sey mayoos nahee hotey Faqeer har takleef ko bardaasht karta hay isliye kion kay woh jaanta hay jis nay azm-e-safar ataa kia hay usi nay hi takleef bhi bheji hay Aur wohee manzil tak pohnchanay wala hay. |
Re: Raah-e-haq
V Nice
|
Re: Raah-e-haq
zabardast
|
Re: Raah-e-haq
kya baat hai ... zabardaast
|
All times are GMT +5. The time now is 02:39 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.