![]() |
tumhei.n maaluum hai kyaa
kyon hai khaamosh samandar tumhein maaluum hai kyaa
Kitne tuufaan hai.n bhiitar tumhei.n maaluum hai kyaa Usse milne kii tamanna hai agar mil jaye Kaun likhta hai muqaddar tumhei.n maaluum hai kyaa eik jumala wo jo kal tumne kaha tha ,usne khuun se ra.Ng diye khanjar tumhei.n maaluum hai kyaa dard kitnaa bhi do aa.Nsuu nahii.n aane waale dil meraa ho gaya patthar tumhei.n maaluum hai kyaa Duub jaata hai un aa.Nkho.n mei.n utarne waala uskii aa.Nkhei.n hai.n samandar tumhei.n maaluum hai kyaa ham dikhaave kii mohabbat nahii.n karte tumse jaan kar deinge niChaavar tumhei.n maaluum hai kyaa kaun rahta tha khayalo.n mei.n tumhare pahle kaun phir ho gaya beghar tumhei.n maa'luum hai kyaa...!! |
Re: tumhei.n maaluum hai kyaa
V Nice
|
Re: tumhei.n maaluum hai kyaa
umdaaa ...
|
Re: tumhei.n maaluum hai kyaa
fantastic..
|
All times are GMT +5. The time now is 12:19 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.