![]() |
aye gham e dil
Shahar Ki Raat Aur Main Naashaad-o-naakaara phiroon
Jagamagaati Jaagatee, Sarkon Pe Awaara phiroon aye Gam-e-dil Kya Karu aye wahashat-e-dil Kya Karu Ye Roopehali Chawon Ye Aakaash Par Taaron Ka Jaal Jaise Soofi Ka Tasavvur, Jaise Aashiq Ka Khayaal Aah Lekin Kaun Samajhe, Kaun Jaane Dil Ka Haal aye Gam-e-dil Kya Karu aye wahashat-e-dil Kya Karu Raaste Mein Ruk Ke Dam Loon, Ye Meri Aadat Nahi Laut Kar wapis Chala Jaaun Meri Fitarat Nahi Aur Koi Hamanava Mil Jaaye Ye Qismat Nahi aye Gam-e-dil Kya Karu aye wahashat-e-dil Kya Karu Mujh ko Qismat Ne Banaya, Gandale Pani Ka Kanwal Khak Mein Mil Mil Gaye Sab, Aarzu Ke Ye Mehal Kya Khabar Thi Yun Meri Taqadir Jaegi Badal aye Gam-e-dil Kya Karu aye wahashat-e-dil Kya Karu Ruthne wale Kisi, Majabur Se Ruthega Kya Jis Tarah Qismat Ne Luta, Yun Koi Lutega Kya Ye Mere Tute Hue Dil, Aur Tu Tutega Kya aye Gam-e-dil Kya Karu aye wahashat-e-dil Kya Karu |
Re: aye gham e dil
Nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 07:43 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.