![]() |
kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
http://dl8.glitter-graphics.net/pub/...of2cbo9hu6.gif kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain ik junoo’n hai jo mujhay dasht mai le jata hai warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain aik mai hoo’n k nikal jata hoo’n rehzann ki taraf karva’n walay to raahbar ki taraf jatay hain koi to hai pas e deevar chaman jiss k liye zavye nazro’n k manzar ki taraf jatay hain aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain zaur e bazoo say bana saktay hain takdeer jo laug janay kyu’n qaid e muqaddar ki taraf jatay hain NAAZ anjani si khaahish hai jo le jati hai laug kab uss boot e kafir ki taraf jatay hain http://dl8.glitter-graphics.net/pub/...of2cbo9hu6.gif |
Re: kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
koi to hai pass-e-deewaar chaman jis k liye
bohat khoob acha intaykhaab hai thankx for shairing |
Re: kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza
aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain N!(E pOet Zafi!! ,, thanX fOr ShAring ,, |
Re: kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
Nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 08:57 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.