![]() |
kbhi yaad aao to is tra.....
Kabhi yaad aao to iss tarah____ !
Ke lahoo ki saari tamazatain Tumhain dhoop dhoop samait lain ...Tumhain rang rang nikhar dain Tumhain harf harf main soch lain Tumhain daikhnay ka jo shouq ho To dayar-e-hijr ki teergi Ko mizha ki nauk say naoch lain Kabhi yaad aao to iss tarah Ke dil-o-nazar main utar sako Kabhi had say habs-e-junoon badhe To hawaas ban ke bhikhar sako Kabhi khul sako shab-e-wasl main Kabhi khoon-e-dil main sanwar sako Sar-e-rahguzar jo milo _____ kabhi Na thehar sako __ na guzar sako! Mera dard phir say ghazal bunay Kabhi gungunao ___ to iss tarah Meray zakhm phir say gulaab hoon Kabhi muskaraoo ___ to iss tarah Meri dhadhkanain bhi larz uthain Kabhi chaut khao __ to iss tarah Jo nahin to phir baday shouq say Sabhi raabtay sabhi zaabtay Kabhi dhoop chaon main tod do! Na shikast-e-dil ka sitam saho Na suno kisi ka azaab-e-jaan Na kisi say apni khalish kaho Yunhi khush phiro yunhi khush raho Na ujar sakain na sanwar sakain Kabhi dil dukhao ___ to iss tarah Na simat sakain na bikhar sakain Kabhi bhool jao __ to iss tarah Kissi taur jaan say guzar sakain Kabhi yaad aao ____ to iss tarah |
Re: kbhi yaad aao to is tra.....
Nice..
|
Re: kbhi yaad aao to is tra.....
bahut khoob
|
All times are GMT +5. The time now is 11:37 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.