MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Hadees Shareef (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=15)
-   -   Hadees. (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=47502)

Shaam 11-22-2010 09:10 PM

Hadees.
 
Nabi Akhrus Zamaan Janab e Rasool e kareem Rehmat ul lilaalameen ne farmaya
Dunya Akhrat ki Khaiti hai.


dosto me na koi muballig hoo na koi meri auqaat hai ke AAP SAW ki ahadees ka dars desakoo ya us ko bayan karsakoo.
bus aisey hi is hadees per ghaur karha tha tou kuch batein zehen me aai tou socha share karloo.


yaha AAP saw ne Khaiti ka word use kia hai. zara khait ko tasawar me layein.
khaito mei kia hota hai.. anaaj boya jata hai taakei fasal utarnei pei khana milsakei. Kisan ki mehnat aur mehnat aur mehnat lagi hoti hai ke wo bus laga rahey aur behter sei bahter fasal utarsakei

Dunya ko haqiqat bhi yahi hai. Khaito me araam nahi hota logo. khaito me mushaqqat hoti hai. pasina bahaya jata hai gard sei at jata hai jism. khauito me gher nahi banatey
khaito me mehel nahi sajatey us pei sirf mehnat kartey hain takei phir chain sei sosakein . phal pak sakei araam milsakei per jab tak fasal kut na jaaye tab tak chaain sukoon araam itminaam haraam hota hai ke kahein koi ghalti na hojaye
koi khata na hojaye
kuch nuqsan na pohanch jaaye


aur jis ki fasal lehlaha rahi ho wo aur parshan (juis ka imaam mazboot hai wo aur pareshaan)

jis ki zameen banjar hai wo tou sota rahey ga aram sei us ko koi dar nahi per jis ki fasal paki ho imaam mazboot ho pal pal dharka ke koi nuqsan na hojaye
mahnat barbaad na hojaye


bhaio, bohat thora sa waqt hai bohat thora sa. yaha qahqahey laganei nahi rone ke lia bheja gaya hai.
dekhnei ka nazarya badlo us nazarye sei dekho jo Allah dikhana chahta hai


Allah mujh per rehem karein

Kamtareen

Hammad ( Shaam )

life2 11-22-2010 09:52 PM

Re: Hadees.
 
jazakallah ..nyc sahring/.

Shomaila 11-23-2010 10:43 AM

Re: Hadees.
 
MashaAllah

Shaam 11-23-2010 03:03 PM

Re: Hadees.
 
hmmm : )
shukria

HaaNiya 11-23-2010 04:17 PM

Re: Hadees.
 
JazakAllah khair
thanks for sharing

Shaam 11-23-2010 07:15 PM

Re: Hadees.
 
ji aap ka bhi shukria . umeeed hai parha bhi hoga.

Shomaila 11-25-2010 09:15 AM

Re: Hadees.
 
Really... So believe on it,

Shaam 11-25-2010 02:36 PM

Re: Hadees.
 
shumaila plz dont spam.

ღƬαsнι☣Rασ™ 07-08-2012 05:01 PM

Re: Hadees.
 


Jazak allah
Jazak Allah
Thanks fOr Shar!ng

life 09-27-2012 12:02 AM

Re: Hadees.
 
JazakAllah khair


All times are GMT +5. The time now is 03:34 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.