![]() |
aye gham e dil kia karoo..
shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si mere seene par magar chalti hui shamsheer si ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN har taraf bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN jee meiN aata hei ke ab ahd-e-wafa bhi toR dooN un ko paa sakta hooN main yeh aasra bhi chhoR dooN haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bhi toR dooN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN jee meiN aata hei ke murda chaand taray nauch looN iss kinare nauch looN aur us kinare nauch looN eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN le ke eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN |
Re: aye gham e dil kia karoo..
hamesha ki tarah se ye zara juda hai.........gham e dauraan ko dikhaya gaya hai........bahut likha hai aap ne..itna lamba users read nahi kar sakte...aap likh kaise lete hain......?
|
Re: aye gham e dil kia karoo..
thanks ...
|
| All times are GMT +5. The time now is 04:54 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.