![]() |
Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
mujhe apne zabt pe naaz tha, sar-e bazm raat ye kiya howa meri aankh kaise chalak gai, mujhe ranj hay ye bura howa meri zindagi k charagh ka ye mizaaj koi naya nahi abhi roshni abhi teergi, na jala howa na bujha howa mujhe jo bhi dushman-e jaan mila, wohi pukhta kaar-e jafa mila na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata howa mujhe aap kiu na samajh sake, kabhi apne dill sey bhi pocheye neri dastaan-e hayaat ka tu waraq waraq hai khula howa jo nazar bacha k guzar gaye merey saamne sey abhi abhi ye mere hi shehr k log they, mere ghar sey ghar hai mila howa humain is ka koi bhi huq nahi k shareek-e bazm-e kholoos hun na humarey paas naqaab hai, na kuch aasteen main chupa howa merey ek gosha-e fik'r main, meri zindagi sey b aziz tar mera ek aisa bhi dost hai, jo kabhi mila na juda howa mujhe ek gali main para howa, kisi badnaseeb ka khat mila kaheen khoon-e dil sey likha howa, kaheen ansoon sey mita howa mujhe hum-safar bhi mila koi tu shikasta haal meri tarha kai manziloon ka thaka howa, kaheen raaste main luta howa humaien apney ghar sey chaley howe, sar-e raah uma'r guzar gai koi justuju ka sila mila, na safar ka huq hi ada howa |
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
(y)
speechless bohat achi nazm hai sach me |
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
beautifil shering hai Mahi
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Nice T4S
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Good hai Jee
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
keh sakte hain superb (y)
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Thanks Great poetry
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Woww nIce ...
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Thanks ......
|
Re: Mujhe apne zabt pe NAAZ tha...
Hmm .. Meri Fav Poems Men Se AIk .. Mahi Ap Ise Nayyra NoOr kI Aawaz Men SunO Bht Achi Kahi Usne .. Or Phir Faiz Ki To Bat he Kia Ha .. Or Ap ka B Jawab Nai Mahi .. bHT Achi Choice Ha .. :) |
All times are GMT +5. The time now is 05:02 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.