![]() |
ek khwaab aur
ek khwaab aur khwaab ab Husn-e-tasavvur ke ufaq se haiN pare dil ke ek jazbaa-e-ma’suum ne dekhe the jo khawaab aur ta’beeroN ke tapte hue sehraaoN meN tashnagii aabla-paa, sh’ola-bakaf mauj-e-saraab ye tau mumkin nahiin bachpan ka ko’ii din mil jaaye yaa palat aaye ko’ii sa’aat-e-naayaab-e-shabaab phuuT nikle kisii afsurdah tabassum se kiran yaa damak uTThe kisii dast-e-buriidah meN gulaab aah ! patthar kii lakiireN haiN ke yaadoN ke nuquush kaun likh saktaa hai phir umr-e-guzishtaa kii kitaab beete lamHaat ke soye hue tuufaanoN meN tairte phirte haiN phuuTii huii aaNkhoN ke Habaab taabish rang-e-shafaq, aatish ruu-e-Khurshiid mal ke cHehre pe saHar aayii hai KhuuN aHbaab jaane kis moR pe, kis raaH meN kyaa beetii hai kis se mumkin hai tamannaoN ke zakhmoN ka Hisaab aastiinoN ko pukaareNge kahaaN tak aaNsuuN ab tau daaman ko pakaRte haiN lahuu ke gardaab dekhtii phirtii hai ek ek ka munh khaamoshii jaane kyaa baat hai sharmindah hai andaaz-e-Khitaab dar-ba-dar thokareN khaate huve phirte haiN savaal aur mujrim ki tarah unse gurezaaN haiN javaab sarkashii, phir maiN tujhe aaj sadaa detaa huN maiN teraa shaa’iir-e-aawaaraa-o-be-baak-o-Kharaab pheNk phir jazbaa-e-betaab ki aalam pe kamand ek khwaab aur ai himmat-e-dushwaar pasand |
Re: ek khwaab aur
Gd
T 4 S |
Re: ek khwaab aur
gud sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 08:04 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.