![]() |
Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar
Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar Aik lamhe ko thaher main tujhe pathar la doon Main tere saamne ambaar laga doon lekin Kon se rang ka pathar tere kaam aaye ga? Surkh pathar jise dil kehta hai be-dil pathar Ya wo pathrai hoi aankh ka neela pathar Jis main sadiyon se tehreer k parre hain doure Ya tujhe rooh k pathar ki zaroorat ho gi Jis pe haq baat bhi pathar ki tarah girti hai Aik wo pathar hai jise kehte hain tehzeeb safaid Is k mar mar main siyah khoon jhalak jata hai Aik insaaf ka pathar bhi to hota hai magar Haath main teesha, zar ho to wo haath aata hai Jitne mayaar hain is dour k sub pathar hain Jitne afkaar hain is dour k sub pathar hain Shair bhi husn bhi tasveer-o-ghana bhi pathar Mera andaza tera zehn-rasa bhi pathar Is zamane main to her fun ka nishaan pathar hai Haath pathar hain tere meri zaban pathar hai |
Re: Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar
suprb.....
|
Re: Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar
Is zamane main to her fun ka nishaan pathar hai
Haath pathar hain tere meri zaban pathar hai bhout khoob |
Re: Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar
Nice T4S
|
Re: Rait se bout na bana ae mere achhe fankaar
Nice Sharing ...!!
|
All times are GMT +5. The time now is 06:13 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.