MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Members Poetry Collections (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=130)
-   -   My Fav Collection (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=44760)

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 10:57 AM

My Fav Collection
 
Asslam'o'alikum
Main Yahan Apni Collection Share Kar Raha houn
Jo Ap Ko Pasnd Aaye gee INSHALAH
Umeed hai sbh theek aur khush hn gy InshAllah
Khush rahin AAMEIN


kisi k darad main rooye to kuch kaha na gaya

k phoot kar bi meray dil ka aabala na gaya

woh ek sarab tha goya k ose ki janeb ham

tamam umar chalay pir bi faasla na gaya ...

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 10:58 AM

Re: My Fav Collection
 
NAZAM

Bahot dinno sey!
saraab lamhon ki wehshaton mein,
utaar rahi hoon,
ye sochtee hoon,
ye kiya hua hai,
situm Raseeda guman ki chaukhaat pey koi jugnoo,
na koi tara,
taweel rastoon ki dhool dekho,
muhib shamon ka ratjaga hai,
muqadaroon ka mamla bhi ajeeb tar hai,
aye!shaam-e-hijran kabhi miloo tou
ye sochlena
main jismoon jaan kay
shakista rishtoon main bat chuki hoon,
bahut dinno sey haatheliyon pey ugii lakiroon
kay jungloon mein bhataak rahi hoon!

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 10:59 AM

Re: My Fav Collection
 
GHAZAL

meri rooh me jo utter saken,woh mohabaten mujhe chahiye
jo saraab hon na azaab hon,woh rafaaqatain mujhe chahiye

unhi saa'aton ki tallash hai, jo calenderon se utter gayin
jo samey k saath guzer gayin,wohi fursatain mujhe chahiye

kaheen mil saken to samet laa,mere roz-o-shub ki kahaniyan
jo gubaar-e-waqt mein chup gayin,wo hikaayatain mujhe chahiye

jo meri shabon k chiraagh the,jo meri umeed k baagh the
wohi log hain meri aarzoo,wohi sooratain mujhe chahiye

teri qurbaten nahin chahiyen,meri shairi k mizaaj ko
mujhe faaslon se dawaam de,teri furqatain mujhe chahiye

mujhe aur kuch nahin chahiye,ye duaaen hain mere saaiban
kari dhoop mein kahin mil saken,to yehi chattain mujhe chahiye

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:00 AM

Re: My Fav Collection
 
GhazAl
HasTi ApNi HaBaB Ki C HAi
YeH NuMaisH SaraB Ki C HAi

NaAzKi EsS K LuB Ki KyA KeHiyE
PunKHri Ek GuLaAB Ki C HAi

Bar Bar EsS K DHar pE JaTta Houn
HaLat ABH izTAraB Ki C HAi

Main jO BoLA KeH K YeH AawAz !
EsSi KHaNA KHaraB Ki C HAi

MeEr En NeEm BaAz AanKHoun Mein
SaRi MasTi sHaraB Ki C HAi

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:01 AM

Re: My Fav Collection
 
SARAB AANKHEIN


Sarab Aankhein, Sarab Dekhein
K Jab Bhi Dekhein Azaab Dekhein

Gulabi Aankhon Mein Jo Sitam Hai,
Yeh Hai K Aansu Seelab Dekhein,

Yeh Aarzu Hai K Ankhein Har Shab,
Sirf Tumhara Hi Khuwab Dekhein,

Jo Unki Aankhon Mein Kho Gaye Hain,
Woh Kya Me-Khana Sarab Dekhein,

Yeh Unse Kehdo "SABAR" K Aaye Na,
Phir Se Hijr Na Azaab Dekhein....

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:02 AM

Re: My Fav Collection
 
Zindagi Apni Thahray Huay Paani Ki Tarah Thi
Raonq Bhi Hamen Lagti Veerani Ki Tarah Thi

Phir Yun Hua K Chupke Say Tum Chale Aaye
Is Tarah K Jesay Andheray Men Koi Jugnu

Bhatkay Huay Musafir Ki Aankhon Men Uter Aaye
Ab Ye K Ik Khauf Sa Lahaq Bhi He Mujhay

K Yun Na Ho,Ye Sub Kisi Khawb Ki Tarah
Phisal Na Jaaye Hath Se Sarab Ki Tarah

To Socha Yehi He Men Ne A Mere Hum Nashin
Tujhay Sarab Na Koi Khawb Men Banney Doonga

Apnay Jugnu Ko Sada Paas Rakhnay K Liye
Ab Men Apni Aankhen Bund Rakhun Ga

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:03 AM

Re: My Fav Collection
 
ہر طرف ہیں موت کی پرچھائیاں
زندگی لے کس طرح انگڑائیاں؟

اِک طرف ماتم تھا پورے شہر میں
اِک گلی بجتی رہیں شہنائیاں

خوف ہی بس خوف ہے پھیلا ہوا
اب کہاں پہلی سی وہ رعنائیاں

اس قدر مخلوق ہے لیکن مجھے
آ رہی ہیں نظر بس تنہائیاں

بات یہ خرم تمہیں معلوم ہے
عشق کا حاصل رہیں رسوائیاں

خرم ابنِ شبیر

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:05 AM

Re: My Fav Collection
 
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay
Jo Rait Pe Tanha Betha Hay
Na Iskay Pait Main Rooti Hay
Na Iskay Tan Per Kapra Hay
Na Iskay Sur Per Toopi Hay
Na Iskay Pair Main Joota Hay
Na Iskay Pas Khiloono Main
Koi Bhaalo Hay Koi Ghoora Hay
Na Iska Dil Behlanay Ko Koi
Loori Hay Koi Jhoola Hay
Na Iski Jaib Main Dhela Hay
Na Iskay Haath Main Paisa Hay
Na Iskay Ammi Abbu Hain Na
Iskay Appa Khala Hain
Yeh Sara Jag Main Tanha Hay
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay?
Yeh Duniya Kaise Duniya Hay?
Is Duniya K Kuch Takroon Main
Kahi Phool Khilay Kahi Sabza Hay
Kahi Badal Ghir Ghir Atay Hain
Kahi Chashma Hay Kahi Dariya Hay
Kahi Oonchay Mehal Aatariyaan Hain
Kahi Mehfil Hay Kahi Mela Hay
Kahi Kaproo K Bazaar Sajay
Kahi Kaproo K Bazaar Sajay
Kahi Doulat K Sandooq Bharay
Haan Tanba Soona Roopiya Hay
Tum Jo Maango Tu Haazir Hay
Tum Jo Chahao Su Milta Hay
Tum Jo Chahao Su Milta Hay
Yeh Duniya Kaise Duniya Hay
Yeh Bacha Kaisa Bacha Hay...

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:06 AM

Re: My Fav Collection
 
ik roz koi tou sochay ga
parwaanon ki is basti mein
ik shaks tha pagal paagal sa
per baatein theek hi kehta tha

baarish ki tarha pur shor na tha
darya ki tarha chup rehta tha
jin se is ko pyaar bala ka tha
taanay bhi unhi k sehta tha

ik shaks tha paagal paagal sa
per baatein theek hi kehta tha
ik roz koi tou sochay ga
duniya ne usay kuch bhi na diya

per us ne jag ko pyaar diya
jaan rotay rotay kho beitha
dil hanstay hanstay haar diya
jo nazm likhi bharpoor likhi

jo shair diya shahkaar diya
kion jeetay jee dargor hua
kisi jaan pay tun mann waar diya
tha dushman kaun bechaaray ka

kiss ranj ne us ko maar diya
ik roz koi tou sochay ga
phir shayad behat kay roye ga

!«╬Ĵamil Malik╬«! 08-18-2010 11:07 AM

Re: My Fav Collection
 
Meri ankhon mein uter ao inhain samander kar do
kuch dair hi sahi mohabat ki nazar kar do

toot kay milo kay arman na reh jaya koe
ya mohabat kay har lamhe ko amar kar do

duniya ki talab nahi mager ya hasrat hai humari
apni bahon mein lo duniya se bahaber kar do

khushi mein shamil na karo koe baat nahi
tum apne dukhon ko mera humsafer kar do


All times are GMT +5. The time now is 07:23 PM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.