![]() |
Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
Main yakeen karoon bhi tou kis tarhan, teri shab ki koi sehar nahi Meri khawishoon ka ye silsila hai kahan talak ye khabar nahi Ye safar saadii pay muheet hai, meri umar aik pehar nahi Jahan aagahi k na jaal hoon, wahan wahshatoon k zikar nahi Yahan aagahi bhi azab hai, tujhay Aah ye bhi khabar nahi Main shumar-e-ghum karoon kis tarhan, meray pass aisa hunar nahi Mera aaj hai sitam aashna, mujhay kal say koi mafar nahi Jahan do ghari ka sukkon milay, teri raah main woh shajar nahi Main thakan say choor hoon is qadar, koi saaya had'd-e-nazar nahi Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna, kaheen aisa deeda-e-tar nahi Meray dil say barh k jala ho jo, yahan koi aisa jigar nahi Teri kaj aadaiee sitam gari, koi ye batayea kidhar nahi Tou hai baywafaiee ki dastaan, gila tujh say koi magar nahi Tujhay chorna hai tou choor day, mujhay mout ka koi dar nahi Woh andhair nagri hai gar koi, ye bhi rahatoon ka dagar nahi..........!! |
Re: Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
Nice SIs ...
|
Re: Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
:rose5::rose5:
|
Re: Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
very nice suprb...................:bu:
|
Re: Tujhay kia kahoon main ey zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
V.Nice..
|
All times are GMT +5. The time now is 12:31 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.