![]() |
Kaanch Ki Gurya
Kaanch Ki Gurya
Sheeshay se bani ek larki Patthar ke nagar mein aayi Woh dhoond rahi thi moti Aur patthar se takraayi Sheeshay se bani ek larki Patthar ke nagar mein aayi Sheeshay se bani yeh larki Is baat se hai anjaani Jab rait chamakti hai to Lagti hai door se paani Yeh phool hain sab kaaghaz ke Lekin woh samajh na paayi Sheeshay se bani ek larki Patthar ke nagar mein aayi Woh dhoond rahi thi moti Aur patthar se takraayi Sheeshay se bani larki se Keh do ke na baad mein rona Kuch log hain jo peetal ke Kehte hain woh khud ko sona Yeh jhoot ka pul tootega Aur gehri hai gham ki khaayi Sheeshay se bani ek larki Patthar ke nagar mein aayi Woh dhoond rahi thi moti Aur patthar se takraayi |
gud...
|
very nice
|
nice!!
|
nyc sis amazing
|
thx all
|
Nyc
|
thx
|
nice
|
thx ayaz
|
All times are GMT +5. The time now is 05:44 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.