![]() |
Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
Khizan Ke Mausam Se Gulaab Maang Raha Hai, Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai, Jaan Mangta To Main Zara Taghaful Na Karta, Magar Wo Mujhse Mera Khwab Maang Raha Hai, Ata Kar Ke Mere Zeest Ko Hijr Ki Aziyatein, Aur Mujhse Visaal-E-Rut Ke Hisab Mang Raha Hai, Khatayein Karna Hi Raha Mashghala Uska, Main Kya Dun Sila Use Wo Sawab Mang Raha Hai, Apni Samajh Mein Uski Guftagu Bhi Nahi Aati, Aur Wo an-kahe Sawalon Ke Jawab Mang Raha Hai, Mujhko Apne Wajood Pe Bhi Dastaras Nahi Hasil, Aur Dil-E-Nadan Hai Mehtaab Mang Raha Hai, Koi Zindagi Se Ghabra Gaya Is qadar, Kashti Ka Musafir Hai Aur Gardaab Mang Raha Hai |
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
Nice....
|
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
kia kahoo.....
ek sher ka izafa karooga us ka naam likha tha kahein sirf ek waraq per ab wo mujh sei zeest ki kitab mang raha hai bahut khoob mahi. |
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
Nice ....!!
|
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
Nic Thnx For Sharing
|
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
nice
thx for shairing |
Re: Phir Apne Liye Koi Azab Maang Raha Hai
Wah Bohat Khoob
Kya Baat Hai |
All times are GMT +5. The time now is 04:55 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.