![]() |
Mohabat rog hai jaana
Mohabat rog hai jaana Ajab sanjog hai jaana Yeh kese jog hai jaana Baray borhay batatey thy kaien qisey sunatey thy Magar ham mantey kab thy Yeh sab kuch jantey kab thy Yeh batein zikar k qabil Bhala gardantein kab thy Ana k takhat per baithey Hamein maloom hi kab tha Ana k takhat se oopar Bohat sari bulandi par Kahein paryoon ke jhurmat main Tere peiroon ki payal main Tere chotey se gaoun main Ghani zulfoon ki chaoun main Sitare chand sooraj Walehana raqas kartein hain Hamein maloom hi kab tha Terey qadmoon ki aahat per Gulabi muskurahat par Tere hontoon ki jumbish par Ter e sar k isharey par Sada-e-dilbrana par Nigah-e-qatlana par Jafa-e-mehermana par Ada-e-kafrana par Chaman ke phool sarey Is tarha se dhayan detein hain Zara se wasal ke jhansey main Apni jaan detein hain Hamein kab ilm tha jana Tere pekar se dhul kar Chandni har so bikharti hai Shab-e-wisal ki doshizgi Kaisy nikharti hai Teri payal ki chan chan Man main kia ghanti bajati hai Teri awaz veraney main Kia jadu jagati hai Tere nagmein fizaon main Kis tarha jal tarang bajatein hain Bohat pukhat iradey Kis tarha se toot jatein hain Hamein idraak hi kab tha Hamein kamil bharosa tha Hamarey sath kisi surat Bhi aisa nahi ho ga Dil -e- nadan kabhi Qabo se beqabo nahi ho ga Ye dunyaidaar Dunyaidaari se sadhu nahi ho ga MAGAR Magar phir howa jana Janey kiyon howa jana Bara afsos howa jana Jigar ka khoon howa jana Tere abroo ki ik jumsash Se ghayal ho gaye ham bhi Baray hi mutafit phiray thy Mayal ho gaye ham bhi Sakhawat karnay aye thy Aur sayal ho gaye ham bhi Barey borhoon ki batoon ke qayal ho geye ham bhi k..... Muhabat roog hai jana Ajab sanjog hai jana yeh kesa roog hai jana |
Re: Mohabat rog hai jaana
nice sharing thanks
|
Re: Mohabat rog hai jaana
Nice ..........
|
Re: Mohabat rog hai jaana
nice....
|
Re: Mohabat rog hai jaana
Thnx............
|
Re: Mohabat rog hai jaana
v nice
|
Re: Mohabat rog hai jaana
Thnx Ji
|
Re: Mohabat rog hai jaana
very nice............................:bu:
|
Re: Mohabat rog hai jaana
Thnx.............
|
Re: Mohabat rog hai jaana
superb
|
All times are GMT +5. The time now is 04:43 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.