![]() |
Phir Chalay Jana
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chalay jana Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chalay jana Jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may Usay puri tarha se tum bhulado phir chalay jana Ye saray pair poday tum bin kai raat jagay hai Tum aakay ek baar inko sulado phir chalay jana Kisi ko chahne ka aur kisi se chahay janay ka Jo hai ahsaas tum usko bhulado phir chalay jana Bus ik murda hansi se apnay ashko ko chupanay ka Jo fun aata hai tum ko, wo sikhado phir chalay jana Wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se Bus in alfaz-o-mani ko milado phir chalay jana Jo kehte kahte ruk gaye, un sari bato ki Sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana Na janay q hai lakin dekhne ki tum ko aadat hai Meri ye be-waja aadat chura do phir chalay jana Merey in roz-o-shab ka ek fakat unwan bus tum ho Mujhe tum doosra unwan lado phir chalay jana Pyar ki koshish, ay Khuda, na jaye raigan Mujhe is sabr ka kuch phal dila do phir chalay jana.. |
Nyceeee !!
|
v nicee
|
bohat zabrdat janab wah wah
|
v nyc
|
thanx
|
zabardast janab |
thanx janab
|
nyc
|
wah je wah kiya baat hi app ki
|
All times are GMT +5. The time now is 07:36 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.