MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Islamic Issues And Topics (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=17)
-   -   Aap kya kehtey hai?? (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=3573)

Humaila 11-10-2008 05:04 PM

Aap kya kehtey hai??
 
.."Everybody wants to go to heaven, but no one wants to die... "

..
Hum ajeeb insaan hai ,, hum jannat bhi pana chahtey hai aur marna bhi nahi chahtey..
Jannat pana chahtey hai lekin NAMAZ nahi parthey,
JANNAT panaa chahtey hai lekin aapney parents k sath sulook acha nahi kartey
Jannat pana chahtey hai lekin ALLAH(swt) ka hauqam nahi mantey
Jannat pana chahtey hai aur JHOOT ka sahara letey hai
JANNAT pana chahtey hai lekin QURAN-e-pak ko follow nahi kartey..
..
Abh abhi mein likhna start kar do to kabhi na khatam hoo..
Lekin PLEASE think about it!..
Yhe zindagi sirf chun dino ki hai..
baqi
ALLAH (swt)
Behtaar
Janey
Wala
hai ..

Diwa 11-10-2008 05:09 PM

Mashallah sis very nice.. marna nahi chate well think.. samj ay na jg vil dø.. kiun iss doniya se door jane k lye.. itna door k phir wapis na oton.. iss doniya mein preshanion or tention k ilawa kya rakha hai.. koi b ap se khosh nahi tu phir kiss k lye Zinda?? kjønner....?

Humaila 11-11-2008 11:07 PM

hmm.. Noppe.. I disagree with U ma friend.. Aisa kuch nahi hota.. Insaan key upar imtehaan atey hai .. Sirf paas karna hota hai.. Cause ALLAH(swt) humey haar tareeqe se azmaata hai .. Aur isska ziqr QURAN-e-PAK mein bhi ho chuka hai..
Key ALLAH(swt) humey haar tareeqe se azmay gha.. jaise.. MAAL, FAMILYE..etc.. Hum insaano ko sirf SAMAJHNEY ki zaroorat hai jo hum kabhi nahi kartey .. ALLAH(swt) quran-e-pak mein farmata hai K INSAAN bohat kam sochta hai.. Kyo key jo bhi humari zindagi mein hota hai aghar SOCHA jay to behtaari key lye hi hota hai..
Wohi baat yaha aghay.. Key insaan JANNAT ki khuwaish karta hai.. LEKIN jannat pana aik pal ka kam nahi hai..
Insaan key opar azmaishey ati hai.. Aur woh azmaishey humey paas karni hoti hai..
BAQI
ALLAH(swt)
Behtaar
Janey
wala
hai..

Diwa 11-12-2008 02:18 PM

Yeah its true k imtehan ate hain or un ko himat se paas karna hota hai lakin jin mein himmat hi din ba din khatam hoti jaae wo kya kare.. lakin m agree wid U sabar karna chahye main bas du kjønner jeg gir opp fort jald har jati hun.

life 11-12-2008 03:33 PM

ap dono ne buhut acah kaha ..
achi info hai..

Humaila 11-12-2008 04:13 PM

Thanks4TR LIFiee:)..
.. Diwani pareshani.. Insaan ko jub ALLAH(swt) par POORRAA IMAAN hota hena.. To insaan kabhi haar nahi manta aur aapna IMAAN kabhi kamzoor nahi karna chahie.. MAZBOOT rakho aapney IMAAN ko..
Aur ALLAH(swt) par barosa karu..
Wohi hai jo sub kuch janta hai.. Aur wohi haar kam mein behtaari karta hai.. :)
ALLAH(swt) aapko khush rakhey.. AMIN

ShArArTi MuNdA 02-07-2009 05:30 AM

very nice sharing ...... keeep it up humaila

Humaila 02-07-2009 05:42 AM

Thanks4Tr.. Sharartiiii..

Maharani 02-07-2009 02:21 PM

nice sharing
ak ache aur sache musalmaan ko in sab bato k bare me sochna chahiye aur apni life ko acha banana chahiye.......
thanks for sharing

Humaila 02-10-2009 12:46 AM

Thanks4TR Maharani.. Aapney sahi farmaya k sub muslmano ko aisi baton par dihaan dena chahie..
Lekin hum kya kartey hai??.. Iskey bijhay k Islam k barey mein ilm hassil karey hum .. ziada waqt movies dekhtey hai.. Aaj konsi new movie out hai yhe aik 5 sal k bachey ko bhi ilm hoga..
Humey bachon ko sikhana chahie k islam hai kya.. Ta'key woh yhe na keh sakey key onko ilm nahi hai ..

Baqi ALLAH(Swt) behtaar janey wala hai..


All times are GMT +5. The time now is 01:44 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.