![]() |
'' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay Phir bhi is ko chahna acha lagta hai Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai…! |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
MANZIL Manzil b khoo gayee…. Wo b hum say juda ho gay kasa hay ye dard jiss ka koi marham na ban saka kunk hay zindage tanha ess kadar kunk hon main khud b aj tanha see kia dosh tha mara jo mazil b khao gayee |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
ZINDAGI Kagaz ki kashti thee samadar ka pani tha Rishta ara aur us ka kuch ess tarah ka tha Na janay ye zindage humhain kiss mor pay lay aye Jahan milna aur bicharna b dishwar tha Us ki kasmain, wadain sab ek dhoka thay Main he samjti rahee k wo siraf mara tha Us ki adat the ek badalty howay mosam ki tarah Kabe wo dhup tue kabe mara sayia tha |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
RaKhNa HaI Tu Aaina Hai Mujhko Tera Khayal Rakhna Hai……….. Kahin Tu Toot Na Jaiy Tujhay Sambhal Rakhna Hai…. Harr Ek Masley Ka Teray; Hal Nikaal Rakhna Hai……. Zahanat Se Apni Tujhay Hairat Main Daal Rakhna Hai Gar Jo Kabhi Tu Tark-e-Talluq Ki Baat Karay………… Rok Kar Tujhay Kal Pe Taal Rakhna Hai……………… |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
“Dard Mein Bhi Ab Hum Hasna Seekh Gaye Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye Pehle Rulate Ho Phir Hansate Ho Kis Liye Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye Dard Badh Gaya Hai Jalan Bankar Humare Liye Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye Ghamon Ko Na Bhula Paaye Yeh Kaise Dard Mile Kuchh Haseen Palon Ko Yaad Karke Hasna Bhool Gaye |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
EHSAS HO TUM KO Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko Ke Tum Acha Nahin Karte Jo Mujh Ko Yun Rulate Ho Lahoo Mera Jalate Ho Agar Is Aag Main Jal Kar Main Ek Din Raakh Ho Jaun Mujhe Dil Se Bhula Dena Samandar Main Baha Dena Magar Ye Yaad Rakhna Tum Khuda Se Ye Dua Karna! K Jo Acha Lage Tum Ko Wo Tum Jaisa No Ho Hargiz Warna Tum Bhi Rooge Mujhe Jaisey Rulate Ho Kabhi Jo Ehsas Ho Tum Ko….! |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
Yeh jo palkon pay rim-jhim sitaron ka maila sa hai Yeh jo tere bina koi ittna akaila sa hai Zindagi terei yaadon say mehka hua shehar hai Sub muhabbat ka ik pehar hai Sahilon pay gharonday banae thay hum nay Tumhain yaad hai? Rang barish main kaisay urae thay hum nay Tumhain yaad hai? Janay kis kay liye ghar sajae thay hum nay Tumhain yaad hai? Koi khushbo ka jhoonka idhar aa nikalta kaheen Hota needon kay sehra main khoabon ka rasta kaheen Har khushi aatay jatay hoyee waqt ki lehar hai Sub muhabbat ka ik pehar hai Zindagi dhoop chaon ka ik khail hai…bheer chat’ti nahi Aur issi khail main din guzarta nahi….raat kat’ti nahi Pyar kertay hoyee aadmi ki kabhi umer ghat’ti nahi Dil ki dehleez par akse-e-roshan tairay naam say Rat-jagay aainon main khilain hain kaheen shaam say Aik darya hai charon taraf , darmiyan lehar hai Sub muhabbat ka ik pehar hai Yeh jo palkon pay rim-jhim sitaron ka maila sa hai Yeh jo tairay bina koi ittna akaila sa hai Zindagi tairi yaadon say mehka hua shehar hai Sub muhabbat ka ik pehar hai Sub muhabbat ka ik pehar hai……..!! |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
Wafa'oN Ki Talash MeiN Sadaa'oN Ki Talash MeiN Samandar Dekhay Dariya Dekhay Jungle Dekhay Sehra Dekhay NaheeN Koi Mil Saka Jo Taskeen-e-Dil-o-JaaN Hota Mehakta Hua ArmaaN Hota Meri DhaRhkanoN Mein Woh Basta Meray Jeenay Ka SaamaaN Hota Meri Rooh Ka Woh Chain Hota Meri Zindagi Ka UnwaaN Hota Wafa'on Ki Talash MeiN Zindagi Dar Ba Dar Bhatki Sukoon Ke Ek EK Pal Ko Tarsi Kabhi Door Khala'on MeiN Khoyi Kabhi Samandar Ki Gehraiyon MeiN Uljhi Aur Phir Wafa'on Ki Talash MeiN Bus Ek Samar Hi Haath Aya Is Bhari Dunya MeiN Wafa Ka Koi Wajood NaheeN PaththroN Ke HaiN Jism Saaray In MeiN Ehsaas Maujood NaheeN Wafa Faqat Jis Ka Kaam Hai MAUT Us Ka Naam Hai |
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
hmmmm very sad Allah app ko sabar day
|
Re: '' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy''
hmmm good
|
All times are GMT +5. The time now is 06:26 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.