![]() |
hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai main wo sahil hun jise koi sada yad nahin main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein kahte hain k "Sagar" ko Khuda yad nahin |
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
Nice..... |
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
thanks...........
|
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
very nice............................:bu:
|
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
:bu:....
|
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
nice sharing....
|
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
super
t4s |
Re: hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 01:25 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.