![]() |
wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
wahan haath meray bandhay huway mera badba’n chida huwa gayee sa’aton ki talash main mera harf harf bikhar giya kahin teray nam ka shair bhi,meri bayaz-e-jan pay likha huwa meri poor poor pay titliyan,kai rang chor k ja chukin teray zikar ka koi phool tha,meray ratjagon main khila huwa usay rait rait main khojna usay lehr lehr main dhoondna koi shehad sa tera ehad tha,inhi sahilon pay likha hwuwa nay mausmon k khraam bhi nay lams raas na a sakay main yah aitraaf kahan karon,tera mu’atbar tha kaha huwa kisi mor naach ka rung bhi teri aankh ko na lubha saka koi zard zrad sa khwab tha,teri putlion main kkhuda huwa kisi or ufak ki sadaon par wo udaas koonj chali gai meri JHEEL ankh na sochna,kabhi A SAKA HIA GIA HUWA? kisi hijr shaal ki dhajiyan mujhay somp kar woh chala giya woh dhanak dhanak say kata huwa,wo kiran kiran say buna huwa |
Re: wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
Nice .....
|
Re: wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
thankssssssss
|
Re: wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
Nice.......
|
Re: wahan sahilon ki rait py,basharaton ka charagh bhi hai jala huwa
Nice ..........
|
All times are GMT +5. The time now is 11:59 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.