![]() |
Pura dukh aur aadha chaand
Pura dukh aur aadha chaand
Hijr ki shab aur tanha chaand Din mein wehshat behel gayi thi Raat hui aur nikla chaand Kis maqtal se guzra hoga Itna sehma sehma chaand Yaadon ki abaad gali mein Ghoom raha hai tanha chaand Meri karwat per jaag uthey Neend ka kitna kachha chaand Mere mu ko kis hairat se Dekh raha hai bhola chaand Itney ghaney baadal ke peechay Kitna tanha hoga chaand Aansu roke noor nahaaye Dil dariya, tann sehra chaand Itne roshan chehre per bhi Suraj ka hai saya chaand Jab paani mein chehra dekha Tuney kisko socha chaand Bargad ki aik shaakh hata ker Jaaney kisko jhaanka chaand Baadal ke resham jhooley mein Bhor samey tak soya chaand Raat ke shaanon per sar rakhey Dekh raha hai sapna chaand Sookhay patton ke jhurmat per Shabnam thi ya nanha chaand Haath hila ker rukhsat hoga Uski surat hijr ka chaand Sehra sehra bhatak raha hai Apne ishq mein sacha chaand Raat ke shayed aik bajey hain! Sota hoga mera chaanD |
Re: Pura dukh aur aadha chaand
V.Nyx....
|
Re: Pura dukh aur aadha chaand
V Nice ........
|
Re: Pura dukh aur aadha chaand
nyc,,,,
|
All times are GMT +5. The time now is 03:22 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.