![]() |
kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya ye saja sajaya ghar saqi meri zat nahin mera hal nahin ai kash kabhi tum jan sako jo us sukh ne azar diya main khuli hui ik sachai mujhe janane wale jante hain main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyar kiya wo ishq bahut mushkil tha magar asan na tha yun jina bhi us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindar diya ik sabz shakh gulab ki tha ik duniya apne pyar ki tha wo ek bahar jo ai nahin us k liye sab kuch har diya main rota hun aur asman se tare tutate dekhta hun un logon par jin logon ne mere logon ko azar diya wo yar hon ya mahbub mere ya kabhi kabhi milne wale ik lazzat sab k milne main wo zakhm diya ya pyar diya |
Re: kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar diya V.Nyccc |
Re: kuch ishq tha kuch majburi thi so main ne jiwan war diya
nyc,,,,
|
All times are GMT +5. The time now is 11:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.