![]() |
barso kei bad dekha
Barson ke baad dekha ek shakhs dil ruba sa
Ab zehan mein nahin he per naam tha bhala sa Abroo khinche khinche se aankhen jhuki jhuki si Baatain ruki ruki si, lehja thaka thaka sa Alfaaz the keh jugnu aawaaz ke safar mein Bun jaye jangalon mein jis tarha rasta sa Khuwaabon mein khuwaab us ke, yaadon mein yaad us ki Neendon mein ghul gaya ho jese keh rat-jaga sa Pehle bhi log aaye kitne hi zindagi mein Woh her tarah se lekin auron se tha juda sa Pichli muhabbaton ne woh na-muraadiyaan dein Taza rifaaqaton se dil tha dara dara sa Kuch yeh keh muddaton se hum bhi naheen the roye Kuch zehar mein bujha tha ehbaab ka dilasa Phir yun hua keh saawan aankhon mein aa basay the Phir yun hua ke jese dil bhi tha aabla sa Ab such kahen to yaaro hum ko khabar naheen thee Bun jayega qayamat ek waaqea zara sa Tewar the berukhi ke andaaz dosti ke Woh ajnabi thaa lekin lagta tha aashna sa Hum dasht the keh darya hum zehar the keh amrit Naahaq tha zoam hum ko jub woh naheen tha pyaasa Hum ne bhi us ko dekha kal shaam ittefaqan Apna bhi haal he ab logo Faraz ka sa. |
Re: barso kei bad dekha
very nice
|
Re: barso kei bad dekha
bahut shukria ..
|
Re: barso kei bad dekha
V.Nyx...
|
Re: barso kei bad dekha
shukria
|
Re: barso kei bad dekha
nyc...
|
Re: barso kei bad dekha
v nice shaam
|
Re: barso kei bad dekha
shukria
|
Re: barso kei bad dekha
Quote:
kia khena is intikhaab ka : ) |
Re: barso kei bad dekha
ji waqai
mut poochyeh kia kehna hai merei is intikhaab ka : ) bahut shukria M A H i |
All times are GMT +5. The time now is 03:50 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.