![]() |
Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nhi hota Woh janti thi Muhabbat dukhon ka sehraa hai Jahan seraab si khushiyan hain Aur azaab se ghum Jahan hai pyaas JUDAI ki betahasha magar Millan ki barishein hoti hain jis dyar main kam Woh janti thi Muhabbat khiraaj mangti hai Woh jis ko dil ka lahoo de k jagmagaya ho Andheri rah k liye woh chirag mangti hai Woh janti thi Muhabbat woh reguzar hai jahan Biche hain kaanch JUDAI k beshumaar magar Brehna-pa hi inhein paar kerna perta hai Ghumon ki dhoop main ab saibaan koi na ho Kisi yaad ki chadar ko taan ker khud per Tammam aahein daba ker guzarna perta hai Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota Mohabbat main sabar ka samar nhi hota Hijar ki rah main hoti hai betahasha ghutan Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nhi hota Woh janti thi phir bhi rog le bethi Kisi k pyar main na jane kyun jog le bethi |
Re: Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
Nice ....!!
|
Re: Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
Nice one
|
Re: Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
Nice.....
|
Re: Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
nice sharing
|
Re: Woh janti thi k wafaa ka ajar nhi hota
v nice
|
All times are GMT +5. The time now is 10:36 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.