![]() |
Mirza ghalib
bas k dushwar hai har kam ka asan hona
admi ko bhi mayassar nahi insan hona giriya chahe hai kharabi mere kashane ki dar-o-diwar se tapak hai bayaban hona wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh ko ap jana udhar aur ap hi hairan hona jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta hai jauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puch id-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishat tu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhana lazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona ki mere qatl k bad us ne jafa se tauba haye us zodpasheman ka pasheman hona haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib' jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona |
Re: Mirza ghalib
v.nyce
|
Re: Mirza ghalib
:bu:....
|
Re: Mirza ghalib
nice sharing....
|
Re: Mirza ghalib
Woww Nice ...!!
|
Re: Mirza ghalib
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 04:58 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.