![]() |
Mirza ghalib
bazicha-e-atfal hai duniya mere age
hota hai shab-o-roz tamasha mere age ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik ik bat hai ejaz-e-masiha mere age juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur juz waham nahi hasti-e-ashiya mere age hota hai nihan gard mein sehra mere hote ghista hai jabin khak pe dariya mere age mat puch k kya hal hai mera tere piche tu dekh k kya rang hai tera mere age sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun baitha hai but-e-aina sima mere age phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar rakh de koi paimana-e-sahba mere age nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra kyon kar kahun lo nam na us ka mere age iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr kaba mere piche hai kalisa mere age ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam majnun ko bura kahti hai laila mere age khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate ai shab-e-hijaran ki tamanna mere age hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho ata hai abhi dekhiye kya-kya mere age go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai rahne do abhi sagar-o-mina mere age hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera 'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age |
Re: Mirza ghalib
v.nyce
|
Re: Mirza ghalib
:bu:....
|
Re: Mirza ghalib
nice sharing....
|
Re: Mirza ghalib
Woww Nice ...!!
|
Re: Mirza ghalib
very good
|
All times are GMT +5. The time now is 01:02 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.