![]() |
Different sad Poetry..
Jaan kar bhi woh Mujhe jaan na paaye, Aaj tak woh Mujhe pehchaan na paaye, Khud hi kar li bewafai humne, taaki unpar koi ilzaam na aaye Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain Milna itifaak tha bicharna naseeb tha Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha Hum usko dekhne k liye taraste he rahe Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha Kaash banane wale ne humein aansoo banaya hota, Aur mehboob ki aankhon me basaya hota, Jab girte unki aankh se unki god me, Thoda marne ka maja bhi aaya hota Zindagi ki raho me jab aage aage jaaoge, Peeche ek saaya tum hurdum paaoge, Mudkar dekhoge to tanhaayi hogi, Agar mehsoos karoge to humko paaoge Zuban hi sirf ek zaria nahi Jo aap lafzon ko samajh paayenge kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye Hazaro alfaz khud-ba-khud bikhar jayenge Dard se dosti ho gayi hai doston, Zindagi bedard ho gayi hai doston, Kya hua jo jal gaya aashiyana humara, Magar door tak roshni ho gayi hai doston Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya, Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya, Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan, Us raah se kisi ko gujar ne na diya |
Re: Different sad Poetry..
wow.......Nice sharing.......
|
Re: Different sad Poetry..
Thankz dewanii
|
Re: Different sad Poetry..
oey good yaar
|
Re: Different sad Poetry..
Nice...
|
Re: Different sad Poetry..
great shares
|
Re: Different sad Poetry..
very nice..........................:bu:
|
Re: Different sad Poetry..
BEautiful ...
|
All times are GMT +5. The time now is 06:12 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.