![]() |
Wo bachpan ki yaadein..
[size="4"]Wo bachpan ki yaadein.. aur kuch naadaan baatein.. wo maasum jazbaat.. aur aankhon mein sapne beshumaar.. wo papa ki thapkiyan.. aur mummy ka laad.. wo barsaat ki jhadiyan.. aur kaagaz ki kashtiyan.. wo pal mein katti.. aur jhatt se abba.. wo khel-kud se dosti.. aur padhai se tauba.. wo sardiyon ki dhundh.. aur maa ki jhapki.. wo meri chulbuli sharartein.. aur papa ki muskurahat.. wo cycle ki sawaari.. aur us par sawaar mummy ki dulaari.. wo school ki ghanti.. aur doston ke sang masti.. wo gudiyon ki duniya.. aur usme base anginat sapney.. wo teacher ki daant.. aur aankhon mein aansoon hazaar.. wo bhaagne ka junoon.. aur ladkhadate kadam.. wo nanhin si aankhen.. aur unme timtimate karoron sapne.. wo nakhron ki baarish.. aur papa ka dher saara pyaar.. wo masoom siskiyan.. aur mummy ka dulaar.. wo bachpan ki yaadein.. aur ye naadan baatein! __________________/SIZE] |
Re: Wo bachpan ki yaadein..
suprb....
|
Re: Wo bachpan ki yaadein..
bachpan kei dukh bi kitnei achey hotey they
tab tou sirf khilonei hi toota kartey they |
Re: Wo bachpan ki yaadein..
zabardast
|
Re: Wo bachpan ki yaadein..
Thanx all
|
Re: Wo bachpan ki yaadein..
Nice Thnx For Sharing
|
Re: Wo bachpan ki yaadein..
Nice ....
|
Re: Wo bachpan ki yaadein..
VERY NICE..........:bu:
|
All times are GMT +5. The time now is 12:47 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.