![]() |
Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
aks tera hai magar deeda-e-tar apna hai jee meiN aaya to kabhii phoR hii daaleiN gey issay gair k haath ka pathar nahiiN, sir apna hai wehshat-e-jaaN kabhii fursat ho to iss simt bhii aa sheher se door sahii, dasht bhii ghar apna hai be'hajabana mile uss se to yeh bhed khula khalq ka khauff nahiiN hai, ussay darr apna hai woh jo manzil hai sir hadd-e-nazar terii hai yeh jo chehra hai pas-e-gard-e-safar, apna hai sach bhii kehte haiN magar jhoot kii ley meiN Mohsin kuch dinoN se yehii andaaz-e-hunar apna hai ...!!! |
Re: Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
nyc...
|
Re: Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
Nice....
|
Re: Tujh se rabt itna, gham-e-shaam-o-seher apna hai
very nice................:bu:
|
All times are GMT +5. The time now is 08:02 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.