MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community

MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community (http://www.MeraForum.Com/index.php)
-   Great Urdu Poets&Poetry (http://www.MeraForum.Com/forumdisplay.php?f=76)
-   -   Ibne insha (http://www.MeraForum.Com/showthread.php?t=31504)

ROSE 01-20-2010 04:59 PM

Ibne insha
 
kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera


ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye
ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera


is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen
har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera


kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar
jangal tere parbat tere basti teri sahra tera


ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi
ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera


do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye
altaf ki barish teri ikram ka darya tera


ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan
ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera


tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman
ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera


ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar
rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera


han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin
is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera


beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai
tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera


bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal
ashiq tera ruswa tera shayar tera "Insha" tera

ROSE 01-20-2010 05:01 PM

Re: Ibne insha
 
us sham wo rukhsat ka saman yad rahega
wo shahar wo kucha wo makan yad rahega


wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi
wo dard k utha tha yahan yad rahega


ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge
wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega


kuch mir k abyat the kuch faiz k misre
ik dard ka tha jin main bayan yad rahega


jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat
wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega


ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge
tu yad rahega hamen han yad rahega

ROSE 01-20-2010 05:02 PM

Re: Ibne insha
 
rat k khwab sunayen kis ko rat k khwab suhane the
dhundle dhundle chehre the par sab jane pahahane the


ziddi wahshi alhar chanchal mithe log rasile log
honth un k gazlon k misre ankhon main afsane the


ye larki to in galiyon main roz hi ghuma karti thi
is se un ko milna tha to is k lakh bahane the


ham ko sari rat jagaya jalte bujhte taron ne
ham kyun un k dar pe utre kitne aur thikane the


wahshat ki unwan hamari in main se jo nar bani
dekhenge to log kahenge 'Insha' ji diiwane the

ROSE 01-20-2010 05:03 PM

Re: Ibne insha
 
ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai
kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai


katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar
kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai


ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka
ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai


ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen
a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai


daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi
pucha jo muash ka "Inshaji" yun apna guzara hota hai

!~*AdOrAbLe*~! 01-20-2010 05:09 PM

Re: Ibne insha
 
wonderfullll

ROSE 01-20-2010 06:07 PM

Re: Ibne insha
 
thanks alot sis

FAJAAN 02-11-2010 04:07 PM

Re: Ibne insha
 
v.nyce

(‘“*JiĢäR*”’) 08-19-2010 11:41 AM

Re: Ibne insha
 
:bu:....

FarazAli 10-03-2010 05:47 PM

Re: Ibne insha
 
nice sharing....

Ghuncha 08-24-2011 11:55 PM

Re: Ibne insha
 
Woww Nice ...!!


All times are GMT +5. The time now is 04:29 AM.

Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.