![]() |
Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Mohabbat Usay Bhi Thi Mujh Ko Bhi Shaoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka Rasta Badal Ke Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi Uss Raat Dair Tak Wo Raha Mehv-e-Guftugu Masroof Mein Bhi Kam Tha Faraaghat Usay Bhi Thi Sunta Tha Wo Bhi sab Se Purani Kahaaniyan Taaza Rafaaqaton Ki Zaroorat Usay Bhi Thi Mujh Se Bicharr Ke Sheher Se Ghul Mil Gaya Wo Shakhs Halaankeh Sheher Bhar Se Raqaabat Usay Bhi Thi Wo Mujh Se Barrh Ke Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya Warna Har Aik Saans Qayamat Usay Bhi Thi Tanha Huwa Safar Mein Tho Mujh Par Khula Ye Bhaid Saaye Se Pyaar Dhoop Se Nafrat Usay Bhi Thi Mohsin Mein Yoon Bhi Keh Na Saka Haal-e-Dil Usay Darpesh Aik Taaza Museebat Usay Bhi Thi __________________ |
Re: Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Nice .......!
|
Re: Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi
nyc...
|
Re: Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehshat Usay Bhi Thi
Nice....
|
All times are GMT +5. The time now is 02:32 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.