![]() |
Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte Dete hain ek thokar bhi, Aur maaf nahi karte Apne dil ka faisla bhi, Inhe manjoor nahi hota Ishq kar ke bhi kabhi, Intezaar nahi karte Jaan se bhi pyare ho, kahiye to, khush hote hain pyar mein kisi ke jaan ki, yeh parwah nahi karte Khaate hain yeh kasam, Saath jeene marne ki Mushkil bhari ho rahein, To paar nahi karte Rakhte hain phool si hansi, Labon par hamesha hi Yun to muskuraate huye, Katl-e-aam nahi karte Khud mein ho kami to, Auron ko ilzam dete hain Dil ke daag nazar aaye, To aaieene saaf nahi karte Kitno ki duayen lete hai, Kitno ko hain barbaad karte Koi phir bhi mil hi jaata hai, Inhe shaam dhalte- dhalte Har zakhm ko, apni kismat, Maan leta hoon main Kuch iss tarah ho gaya hoon, Har zulm sahate- sahate |
Re: Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
bohut niceee
|
Re: Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
thanks
|
Re: Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
Nice .......!
|
Re: Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
nyc...
|
Re: Khata karne wale, Kabhi insaf nahi karte
thanks all
|
All times are GMT +5. The time now is 03:29 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.