![]() |
Hazrat Muhammad(P B U H) said!
[SIZE="6"Hazrat Muhammad(P B U H) said!
Zuban k gunahon main sab se bara gunah jhot hai aur meri Ummat k 90% log Zuban ki waja se jahanum main jain ge][/size],,,,,,,,,,,,,, |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
MUHAMMAD (S.A.W.):.
Tum apni peshani se us matti ko saaf na kro jo namaz me sajde se Lag jae Jab tak sajde ka nishan peshani pr ho, Frishte dua krte rahen ge. __________________ |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
hazrat abu hurairah se riwayat hai k piyaray aqa mehtay mustafa sal’lal’la’hu ea’ala wa’alay he was’sal’lam ney farmaya
eik muslim k dusray muslim par 5 haq hain salam ka jawab dena.. Bimaar ki *ayaadat karna *janaze k saath jana *dawat qabool karna * isalam ko phelana” (bukhari, muslim) |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
Hazrat Abu imama (RZ) se rivayat hai k
Hazrat Mohammad(PBUH)ne farmaya: ''Mere Nazdeek Qabil-e-Rishk Woh momin hai jo halka phulka (kam amdani wala)ho, Usay namaz se wafar Hissa mila ho(Nafli namaaz aur Tahajjad zyada parhta ho),Logon main Gumnaam ho, Uski parwa na ki jaati ho,Usay zarorat kay muttabiq rizq mayassar ho(itna zyada rizq na ho kay bacha kar rakha jaye)Woh us per sabar karay (mazeed ka lalach na ho),usay jald maut ajaye,uska tarka thora ho,Aur usay ronay waliyaan bhi kam hon'' |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
Hazrat Asma Bint-e-Yazeed(RZ)se rivayat hai
Unhunay Rasool(SAW)ko suna woh farma rahay the kay: ''Kya main Tumhen Tumharay Behtareen Afraad ki Nishaan Dahi na karon?'' Sahaba karaam(RZ)ne Arz kia ''Kyun nahiin Allah Kay Rasool!'' Aap (SAW) ne farmaya:''Tumahary behtareen Afraad woh hain Jin ko dekh kar Allah Ki yaad aye'' |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
1 DIN Hazrat Jibrail (A.S) Huzoor (S.A.W)
k paas aye or kaha ALLAH ne mujhey itni taqat di hay k main sari dunia k darakhton k pattay gin sakta hon or pani k saray qatray or rait k saray zarray gin sakta hon lekin us aadmi per rehmat ki tadad nahin gin sakta jo AAP(S.A.W) per 1 bar darood parhta hai |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
Ek dafa Hazrat Mousa (Alaih Salaam) nay Allah swt say kaha ke kya achaa hota agar chaar cheezain hotin aur chaar na hotin ...
1 Zindagi hoti Mout na hoti, 2 Jannat hoti Dozakh na hoti, 3 Ameeri hoti Gareebi na hoti, 4 Tandrusti hoti Bemari na hoti.... Gaib say awaz aayee Aey Mousa (Alaih Salaam)! “ Agar Zindagi hoti Mout na hoti to mera deedar kaisay hota.. Agar Jannat hoti Dozakh na hoti to meray Aazab say kon darta .. Agar Duniya main Ameeri hoti Gareebi na hoti to mera Shukar kon ada kerta.. agar Tandurusti hoti Bemari na hoti to Mujhay Yaad kon kerta ..... Jab yeh batain Hazrat Mousa (Alaih Salaam) nay suni tu kaha Aey Allah swt! Beshaq teray har kaam main koi na koi Hikmat zaroor hoti hai __________________ |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
NABI KAREM S.A.W. Ne Farmaya
1."Libas Ki Sadgi Eman Ki Alamato Mai Se 1 Alamat Hai 2.Dua K Siwa Koi Chiz Taqdir K Faisle Ko Rad Nhi Kar Sakti 3.Neki K SAWA KOI chiz umar ko nhi barha sakti'' 4.Sadqay K Siwa Koi Chiz Musebt Ko Nhi Tal Sakti 5.Zakat K Siwa Koi Chiz dolat Or Mal Ko Pak Nhi bana Sakti 6.Rone K Siwa Koi b Chiz Allah Ki Nrazgi Ko Nhi Mita Sakti., |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
Hazrat Imraan Bib Hussain(RZ) Se rivayat hai ,Rasool Allah(SAW) ne farmaya:
''Allah apnay Momin,tang dast,Sawaal se bachnay walay,Baal bachon walay banday se Mohabbat farmata hai'' |
Re: Hazrat Muhammad(P B U H) said!
v nice
|
All times are GMT +5. The time now is 09:00 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.