![]() |
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
simte to dil-e-aashiq,faile to zamaana hai hum ishq ke maaro`n ka itna hi fasaana hai rone ko nahi koi hansne ko zamaana hai wo aur wafa-dushman,maane hain na maana hai sab dil ki sharaarat hai aankhon ka bahaana hai kya husn ne samjha hai,kya ishq ne jaana hai hum khaaqnasheeno`n ki thokar mein zamaana hai ae ishq-e-junoo`n-pesha!haan ishq-e-junoo`n pesha aaj ek sitamgar ko hans-hans ke rulaana hai ye ishq nahi`n aasaa`n bas itna samajh leeje ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai aansu to bahot se hain aankhon mein `jigar` lekin bindh jaaye so moti hai reh jaaye so daana hai |
Re: Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
v v nice
|
Re: Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
Nice....
|
Re: Ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai
VERY NICE...........................:bu:
|
All times are GMT +5. The time now is 04:39 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.