![]() |
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko mujhse tu puchne aya hai wafa k mani ye teri sada dili mar na dale mujhko main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi koi bhi nam mera le k bulale mujhko tune dekha nahin aine se age kuch bhi khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun jitna ji chahe tera aj satale mujhko khud ko main bant na dalun kahin daman-daman kar diya tune agar mere hawale mujhko main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman main hun gar phul to jure mein sajale mujhko main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel" shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko |
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
v gud hmm...
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
Qateel shafai , he was a Gr8 Poet , Excellent shairi
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
nice poetry sis i like it
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
thanks alot sis for appriciating
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
Nice sharing
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
v.nyce
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
:bu:....
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
nice sharing....
|
Re: apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
super
t4s |
All times are GMT +5. The time now is 05:54 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.