![]() |
Bheegi January..
Wohi Gall'ian, Wohi Koochy, Wohi Sardi Ka Mausam! Isi Andaz Se Apna Nizam-e-Zeest Baham Hai Ye Husne Ittefaq Aisa K Nikhri Chandni Bhi Hai Wohi Her Simt Veerani, Udasi, Tashngi Si Ha Wohi Hai Bheer Sochon Ki, Wohi Tanhaiyan Phir Se Mujhy Sab Yad Ha, Kuch Saal Pehly Ka Ye Qissa Ha Wohi Lamhy To Veerany Ka Ik Abaad Hissa Hai Meri Aankhun Main Wo Ik Lamha Moujood Ab Bhi Hai Wo Zinda Raat Mery Sath Lakhon Bar Jagi Hai Kisi Ne Raat Ki Tanhai Main Sargooshian Ki Thi'n Kisi Ki Narm Guftari Ne Dil Ko Lorian Di Thi'n Kisi Ne Meri Tanhai Ka Sara Karb Baa'nta Tha Kisi Ne Raat Ki Chunri Main Roshan Chand Taa'nka Tha Chamkty Jugno'un Ka Seel Ik Bakhsha Tha Rato'n Ko Dharakta Sa Nayaa Unwa'n Dia Tha Mery Khwabon Ko Ma Sheru'n Main ilham Ki Sorat Utra Tha Ma'ani Ban K Jo Lafzo'n Main Pehli Bar Dharka Tha Wo Jis K Hony Se Zindagi Ki Naghma Sarai Hai Usey Kehna K Bheegi January Phir Laut Aai Hai !!! |
Re: Bheegi January..
nyceeee
|
Re: Bheegi January..
i think i hv the same lol nice sis
|
Re: Bheegi January..
itni achi urdu.... ruby urdustani :) :)
|
Re: Bheegi January..
thnx..
|
Re: Bheegi January..
nice sharing
|
Re: Bheegi January..
thnx..
|
Re: Bheegi January..
very nice..........:rose5:
|
Re: Bheegi January..
thnx..
|
Re: Bheegi January..
beautifull
|
All times are GMT +5. The time now is 04:10 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.