![]() |
"Aay duur nagar k banjaray"
Aay duur nagar k banjaray"
Aay duur nagar k bunjaray kiyon aaj safar ki thani hai, Yeh barish, keechar, sard hawa aur rah kathun anjani hai. Aa mehfil chup chup baithee hai aa mehfil ka jee shaad karain, Woh log k tairay aashiq hain, k roz say tujh ko yaad karain. Woh thor thikanay dhoond chukay, woh manzil manzil chooh ayay, Ubb aas lagayay baithay hain kub dustuk ho kub tu ayay. Aay duur nagar k banjaaray gar chor k aisa jana tha, kiyon chah ki rah dikhani thee, kiyon piyar ka haath barhana tha. Hai dunya k hangamo main rangeenee bhi ranaaiee bhi, Hur cheez yahan ki piyaree hai, mehroomi bhi, ruswaiee bhi. Sub log yahan par qismat kay bai tor thapairay sehtay hain, Par jeetay hain aur jeenay ki ik aas say chimtay rehtay hain. Aur tu tau aik khilari tha, kiyon khail hee say mon morr liya, Kiyon jaan ki baazi haar gia, kiyon umer ka rasta torr liya. Go janay k mushtaq yahan hum jaisay laakh becharay hon, Woh log hee rukhsat hotay hain jo log k sub ko piyaray hon. Hur saal ruton ki gardish say jub bees dacumber aayay gee, Yeh ashk chama chum barsain gay, yeh aah ghata bun jayay gee. Tum arsh k aik farishtay thay, bus farsh ki chokhat choom gayay, Tum tees baras tuk dunya main maasoom rahay maasoom gayay. Hum yaad ki roshun shamaun say iss jee main ujala rakahin gay, Aur seenay main aabadi ka saamaan nirala rakhain gay. Tum ajnabi ajnabi rahon main jub thuk jao tu ik kaam karo, Iss dil main aan qayam karo, iss seenay main basraam karo. Iss jug ki raat andhairee main ik taara tha woh doob gaya, Aur waaday saath nibhanay k sub bhool bhula kar khoob gaya. Yeh Insha, Haroon, Zaid Bakr, sheeshon ka maseeha koi naee, Sub dost humaray achay hai par kaun hai uss sa, koi naee. Kiyon naazuk naazuk seenon main gham ka torr pahar chalay, Kiyon jug k khail tamashon ka tum rung aur ruup ujaar chalay. Phir daikh zameen par keechar hai, phir daikh falak par paani hai, Aay duur nagar k banjaaray kiyon aaj safar ki thani hai. |
Re: "Aay duur nagar k banjaray"
nice sharing
|
Re: "Aay duur nagar k banjaray"
nyc.
,,, |
Re: "Aay duur nagar k banjaray"
V.Nyc...
|
Re: "Aay duur nagar k banjaray"
ah wah kya baat hainn
|
All times are GMT +5. The time now is 01:53 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.