![]() |
Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey
Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nigah mein thehar gai Mein kya bataaon ke ab ki baar chaman ki haalat ajeeb thi Har phool maatam-sara mila meri jahan jahan bhi nazar gai Ye kon jaaney ke kya huwa mein dhoond dhoond ke thak gaya Ke wo jo aek titli thi baagh mein najane woh bhi kidhar gai Abhi hey zara wo asar jisey meri zaat ney pooja kabhi magar Wo junoon to kab ka khatam huwa wo soorat to dil sey utar gai Mujhey kis jurm ki saza mili ke meri rooh tak hey thaki hui Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai Ye chiraagh-e-jaan bhi ajeeb hey ke jala huwa hey abhi talak Teri bewafaai ki aandhiyaan to kabhi ki aa ke guzar gai Merey aasmaan ke haath mein bas aek chaand tha aas ka Usey baadlon ney nigal liya to meri kaaeynaat hi ujarr gai...!!! |
Re: Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
bht khooob
|
Re: Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
nice sharing
|
Re: Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
Nyx....
|
Re: Mein apni jaga sey hilaa nahi meri saans phir bhi ukharr gai
tankssssssssssssss
|
All times are GMT +5. The time now is 04:09 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.