![]() |
*~Tu Kisi Aur Ki Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal*~By ADoO
Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal… Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal… |
Re: *~Tu Kisi Aur Ki Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal*~By ADoO
acha jee jesa aap ka hukam lolzzz
buhat zaberdast |
Re: *~Tu Kisi Aur Ki Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal*~By ADoO
Nice ..........
|
Re: *~Tu Kisi Aur Ki Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal*~By ADoO
Nice.....
|
Re: *~Tu Kisi Aur Ki Taqdeer Bana Mera Muqadar Na Badal*~By ADoO
thnxx all
|
All times are GMT +5. The time now is 05:59 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.