![]() |
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi Sath reh kar bhi us ko na pana kesa lagta hai Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain Phool samjh kar kantoon per chalna kesa lagta hai Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai Gham chupa kar mehfil ko sajana kesa lagta hai Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain Tanhai main gham k ansoo bahana kesa lagta hai Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil Us ki yaad main ratoon ko jaagna kesa lagta hai Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay Zakham kha kar bhi muskurana kesa lagta hai Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se Tab apnay ansoon ko chupana kesa lagta hai Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin Phir bhi khud ko ameer batana kesa lagta hai Khud ko AnMoL samjhnay ka tha bara ghumand Phir bhi Baymool bik jana kesa lagta hai Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay Phir bhi is ko chahna kesa lagta hai Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi Phir bhi safer kartay rehna kesa lagta hai Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain Phir bhi is ka intazar kartay rehna kesa lagta hai |
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
very nice |
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
buhat khoob janab
|
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
v v nice sis
|
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
bohoooooooot khub..thaanks..
|
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
beautiful
|
Re: Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
thanx all.....
|
All times are GMT +5. The time now is 08:35 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.