![]() |
na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana
KITAAB MAIN MUJHE DEKHNA na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana merey dard ki aab-o-tab mein mujhey dekhana kisi waqt shaam-e-malaal mein mujhe sochanaa kabhi apney dil ki kitaab mein mujhe dekhanaa kisi dhun mein tum bhi jo bastiyoon ko tyaag do isi rah-e-Khana- e-Kharaab mein mujhe dekhana kisi raat maah-o-najuum se mujhe puchhana kabhi apani chashm-e-pur- aab mein mujhe dekhana isi dil se ho kar guzar gaye kai kaaravaan ke hijratoon k azaab mein mujhe dekhana main na mil sakoon bhi to kya hua k fasana hoon nae daastaan main, naye baab mein mujhe dekhana mere Khaar Khaar savaal mein mujhe Dhuundnaa mere geet mein mere Khawaab mein mujhe dekhana mere aansuon ne bhujai thi meri tashnagi isi barg-zida sahaab mein mujhe dekhanaaa vahii ik lamhaa-e-deed tha ke ruka raha mere roz-o-shab k hisaab mein mujhe dekhana jo tadap tujhe kisi aa-eine mein na mil sake to phir aa-eine k jawaab mein mujhe dekhana |
Re: na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana
niceeeeeeeeeeeeeeeee
& beautifullllllllllllllllllllll |
Re: na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana
Thanx........
|
Re: na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana
Nyx....
|
Re: na Gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhana
thanx shayan bhai
|
All times are GMT +5. The time now is 08:49 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.