![]() |
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar Chaandni raaton main hum tum mila karte the Yunhi pehron baithkar baatain kiya karte the Yaadon ka karb kar gaya aankhain ashkbaar Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar Bulaayen kis tarah tumko, kahan tum kho gaye Jism tadapta hai yahan, rooh saath le gaye Tees uthti hai, aur utar jaati hai dil ke paar Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar Ishq ko samjha ibaadat, kya yeh uski saza hai Zindagi bhi to nahin, phir kya yeh qaza hai Dil bekas aarzuon ka hai jeeta jaagta mazaar Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar Pukara tumko aur phir roye hum zaar zaar |
Re: Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
v v nice khush sis
|
Re: Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
thanks sis
|
Re: Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
hmm, nice
|
Re: Yaadain teri aaj phir aayi hain baar baar
thanks
|
All times are GMT +5. The time now is 10:10 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.