![]() |
main aadatan tumhain guria nahi kehta
main aadatan tumhain guria nahi kehta
main iradatan tumhain guria nahi kehta haan magar baat sirf itni si hai kehta to hoon kay tum main aae meri guria hain wo sari khubiyan bhola pan sadgee bachpana, dil-lagi har khushi tum say hai roshani tum say hai tou jan lo aee jan-e-man main qasman tumhain guria nahi kehta main rasman tumhain guria nahi kehta haan magar baat sirf itni si hai kehta to hoon kay tum main aae meri guria hain wo sari aadatain na hoshayari na chalaki masoom sharartain har hansi tum say hai zindagee tum say hai tou jan lo aae jan-e-man main ikhlaqan tumhain guria nahi kehta main murawatan tumhain guria nahi kehta haan magar baat sirf itni si hai kehta to hoon tuu aae meri masoon pari tu khud say bhi munfarid khoobsoorat, haseen phoolon ki lari tu na meray lafzoon ko samajh na meray andaz pay ja, na lehjay pay kay lafz tu aakhir lafz hi hain orr mujhay pasand nahi qaol-o-fail ka tazad tou jan lo aae jan-e-man main majbooran tumhain guria nahi kehta main aadatan tumhain guria nahi kehta haan magar baat sirf itni si hai kehta to hoon or iss baat ka mujah ko aetaraf hai |
Re: main aadatan tumhain guria nahi kehta
awwwww tatz real nice masoom really main lov it
|
Re: main aadatan tumhain guria nahi kehta
Awwwwwwww Thanks a lot jiii
|
Re: main aadatan tumhain guria nahi kehta
NiCe....
|
Re: main aadatan tumhain guria nahi kehta
Nice Thnx For Sharing
|
Re: main aadatan tumhain guria nahi kehta
Nice
Thanks For Sharing... Keep iT uP |
All times are GMT +5. The time now is 07:05 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.