![]() |
kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko safer abhi to zara sa kia hai tere baghair abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko main bhool jata hoon her subah tera naam mager main yaad kerta hoon her raat teri baaton ko |
Re: kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
Nice .....
|
Re: kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
thankssss
|
Re: kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
vvvv niceee
|
Re: kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
thanks sis
|
All times are GMT +5. The time now is 03:20 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.