![]() |
Dil haar gaya
Kehne ko wo pehli chaahat thi Wo jis mein junoo(n) tha, shiddat thi Paakeeza thi, anmol thi wo Khaabon k jahaa(n) ki ulfat thi Mehboob ko bhi ma'loom na tha Aaisi khaamosh mohabbat thi Khaamosh rahi be-kaar hui Na jeet hui na haar hui Phir waqt ne apni chaal chali Wo furqat se do-chaar hui Kaisi khaamosh mohabbat thi Gulzaar se phir wo khaar hui Furqat se junoo(n) mein aag lagi Is dil k sukoo(n) mein aag lagi Ashkon ki larri aankhon se bandhi Is jism k khoo(n) mein aag lagi Phir waqt ne apni chaal chali Dil se wo khumaar-e-preet gaya Honton se wafa ka geet gaya Kehne ko wo pehli chaahat thi Us ka bhi zamaana beet gaya Hijraa(n) ki shabon se larr larr kar Dil haar gaya, gham jeet gaya . |
(y) wow nice
|
Thanks heeer jeee for liking it |
nyc....
|
Thanks Umair jii |
Kooll
|
wow
|
Thanks to both of u |
zabardast
|
Thanks For Sharing
|
All times are GMT +5. The time now is 07:50 AM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.