![]() |
Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
tumse kya kahein jana isqadar jhamele mein waqt ki rawani hai baqkht ki girani hai sakht bezamini hai sakht la makani hai hijr kay samaundar mein takht aur takhtay ki ek hi kahani hai jo tum ko sunani hai baat go zara si hai baat umr bhar ki hai umr bhar ki baatein kab do ghari mein hoti hai dard ke samaundar mein unginat jazeeray mein bay shamar moti mein ankh ke darichay mein tum ne jo sajaya tha baat us diye ki hai baat us gilay ki hai ji lahu ke khalut mein choor ban ke aata hai nabz ki fasilon pe toot toot jata hai zindagi se lambi hai baat raat jaage ki hai raaste mein kaise ho baat takhliye ki hai takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai pyar karne walon ki ek nigah kafi hai ho saake to sun jao ek din akele mein zindagi kai mele mein khuahishon ke rele mein tum se kya kahein jana is qadar jhamele mein zindagi kay mele mein khuahoshon ke rele mein |
Re: Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
Goood One ...
|
Re: Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
Thank u
|
Re: Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
bohaat beautifull
|
Re: Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
Thanks bro
|
Re: Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein
beautiful masoom bhai
|
All times are GMT +5. The time now is 02:20 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.