![]() |
Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita Aur maazi ki bhi parchhain nahin parne daita Mujh se ulfat ki, woh baatain to bohat karta hai Lekin khud ko, kabhi hud se, nahin barhne daita Dosti mujh se woh chahta to hai lekin phir bhi Apne raazon ko kabhi, mujh pe nahin khulne daita Pyar dil dil main woh mujh se to bohat karta hai Us ka izhar magar, mujh pe nahin honay daita Mujh se milne ki woh koshish to bohat karta hai Lekin milne pe kabhi mehsoos nahin honay daita Zindagi us ki bhi kat jati yunhi meri tarha Lekin woh khud ko mohabbat nahin karne daita Phool ka kam hai khushbo se chaman ko bharna Aur kanton ko bhi bezaar nahin honay daita |
Re: Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
very nice..
|
Re: Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
thanks
|
Re: Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
v.nyce
|
Re: Apne kal ko, bhi woh haaton se, nahin janey daita
thanksss
|
All times are GMT +5. The time now is 09:44 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.