![]() |
Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai teri juda'ee ka manzar abhi nigah mein hai teray badalnay k ba-wasf tujh ko chaha hai ye aitaraf bhi shamil meray gunah mein hai azab day ga tou phir mujh ko khaab bhi day ga mein mutma'in hoon, mera dil teri panah mein hai bikhar chuka hai magar muskura k milta hai wo rakh rakhaoo abhi meray kajkalah mein hai jisay bahar k mehman khali chhor ga'ey wo ik makan abhi tak makeen ki chah mein hai yehi wo din thay jab ik dusaray ko paya tha hamari saalgirah theek ab k mah mein hai mein bach bhi jaoon tou tanha'i maar dalay gi meray qabilay ka her fard qatl-gah mein hai! |
Re: Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
Heart touchy :(
|
Re: Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
v.nyce
|
Re: Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
thankssss
|
Re: Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
bahut hi ache :(
|
Re: Dua ka tota huwa harf, sard aah mein hai
thanksss
|
All times are GMT +5. The time now is 08:11 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.