![]() |
~~~ Main Aiyna Tha ~~~
main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi har aik maslay ka hal nikal rakhti thi zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi duain us ki balaon ko rook laiti thin woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi ik aisi dhuun kay nahi phir kabhi main nay suni woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi usay nadamatain mairi kahan gawara thin woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi woh muntazir mera rehti thi dhoop main shaid main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi ... |
wow nice
|
very Nice
|
Quote:
|
Quote:
|
nice:ww:
|
bht khoob
|
Quote:
|
Quote:
|
suraj wo jo din bhar asamaan ka sath de
chand wo jo raat bhar taaron ka saath de pyar wo jo zindagi bhar saath de Aur DOST wo jo Her Khushi AUr Ghum Mein saath de.... |
All times are GMT +5. The time now is 05:02 PM. |
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.